Google

Monday, August 20, 2007

Tag ka agla bhaag!!

Finally, these days when I reach home after spending a day facing some fierce competition from my fellow trainees in the hallowed environs of pocket tanks, minesweeper and the likes, I find a stable internet conn at home. Arey bhai kareeb 150 gram khoon jala hai iss mardood internet conn ke peeche.. Mera ISP “dulhe miyaa…” B*%$#.(tata indicom) itna mast tha kuch din pehle tak ki raat ko gmail par sign in kar ke so jaao subah tak inbox khul jaata thaa. The condition has improved a bit and ergo blogging shuru… :)


Ye raha Tag ka agla bhaag… abhi tak kyaa hua ye jaan ne ke liye padhe Raj comics ka naveentam digest http://garambhejafry.blogspot.com/2007/08/ee-kaa-hai-babuaa.html

9. Last person who made you cry ?

Rahul dravid , with his innings in which he scored 12 runs of 16 overs in the pichhla test match. Kehte hain series jeetna pakka kar rahe the… arey bhaai kabhi suna hai Truck ke driver ko kutte ne kaat liya… The chances of England winning the test match were as bright as “buddhaa mar gaya” winning the Oscars.

10. What is your favorite perfume / cologne ?

Ek hi hai bhaai… bhikhaari se puchhte ho ki favorite katoraa kaun saa hai??... kulhaadi maarta hu roz apni gardan par (AXE iiphect)… naa to mai marta hu naa hi ‘ladkiyaa marti’ hai (mujhpe)..( oye taali bazaao re pun maara maine!!)

11. What kind of hair/eye color do you like in the opposite sex ?

The first and foremost condition is that these assets should be intact in the opposite waale sex ki ladki (:P). As my name is abhishek a green eyed girl will do just fine.:)
Arey contact lens ki chaddi pehen ke har ‘naked eye’ rangili ho jaati hain. Dikhaawo pe naa jaao, pehle apni shakal chamkaao.
Aur yaar hair to grey nahee hone chahiye ladki ke. kam se kam godrej hair dye ke paise to bachenge mere.

12. What are you listening to ?

‘What goes around comes around’ by timbaland. Oye angrezi reader apni raised eyebrows ko rest de aur unko dharti par laa. Hum bhi angrezee gaane suntaa hoon. :D Waise gaana mast hai lekin gaane ka matlab mujhe utna hi pataa hai jitna tere ko mere agle post ke contents. :P

Maine pehle bhi kaha tha. I yumm just a Rampur ka duryodhan in bengalooru.

13. Do you get scared of the dark ?

Haa bhaai haan!! The few ghosts who read this blog please meri mazboori ka faayeda naa uthaana. The puraani haveli dwellers, historical figures up the peepal ka ped and the plush bhoots camping in the Ram gopal verma camp spare this innocent S/W-trainee soul.

14. Do you like pain killers ?

Yeah I so love them!! Raat ke khaane ke baad agar plate me ek-do pain killer naa ho to khaane ka mazaa nahee aata!! Kyu Sharma ji!!

Pain killer hai jalebiyaan thode hi hain!! Imagine your mum saying

“beta aaj maine pain killers ki sabji banaayee hai….tujhe pasand hai naa isiliye!!”

“Arey waah maa!! To phir raayeta Vicks-action-500 kaa hi banana aur agar crocin kii chutney mil jaaye to kyaa kehne”

Pain ko Chill (kill) maar yaar!!

15. Are you too shy to ask someone out ?

Aaye haaye..T-shirt ki sleeve muh me dabaa li sharam ke maare!! Oye mere Shy-ni ahuja mai inna shy bhi nahee bhaai… sharam ko mai painkillers ki sabji ke saath hi bachpan me khaa gaya tha.. haan lekin kisi ladke ko “asking out” karne me vaddi sharam aati hai jee, you know naa!! * coyily looks at his bitten nails *

16 . If you could eat anything right now , what would it be ?

Ras-malaai..bhott sahee lagti hai mainu!! Inni saari plates khaate ho..kabhi kuchh daan dharam bhi kar jaao..

17. Who was the last person you made mad ?

18th question ka answer!!

18. Is anyone in love with you ?

17th question ka answer.!! :)

Labels:

Friday, August 10, 2007

Padh lo bhaiya badey dino baad!!

Hi guys , bulls and bacchdaas(calves) how have u all been?? Haan bhaai haaa!!! Meri part-time job Gumshuda talaash Kendra me lag gayee thi…apne saare gunaaho ka ikbaaliya-jurm kabool karta hu. Last one month I was as bizee as the hutch ka network on friendship day. A transformation of a bhola bhaala technically apaahij naujwaan to a Gheek with better coding skills than mulayam singh yaadav, took place. I know my sense of humour has suffered in the past 1 month and is still ‘suffer’ing in indore-bhopal passenger. Pyaare readers bear with me.

Last one month was spent in playing pocket tanks and sweeping mines and ironically I was paid for it. Then happened the assessment exams and I managed a modest assi pratishat (eighty percent for the ‘devnaagiri’li challenged) in an exam where 300 out of the 450 trainees uttered a thick maa ki gaali after seeing their results. ‘ and then we drank happily ever after. (mere ko to pepsi pee ke bhi chadh jaati hai).

Now lemme complete a long due tag :

I was tagged by Aparna in 27 B.C. (bahut puraani baat hai) and I am yet to complete the tag and so today in 2007 A.D. me ye tag poora hoga. Khoob saare kweschann aur unke jawaab.

1. Pick out a scar you have , and explain how you got it .

Mera jism koi s'car' parking lot nahee hai jii. Lekin mental scars ke baare me mat pooch zaalim. My school report cards acted as a raampuri chakku on my naazuk mental state.

My teacher used to tell me :

“Teri answer sheet to toilet paper se bhi jyaada safed rehti hai, RIN supreme se dhota hai kya”

“Nahee sir mai to haath se dhota hu, aap????”

2. What does your phone look like ?

My phone looks like raveena tendon.

Are bhaai phone hai girl friend thode hi hai. Jab poocha hai to le bhaai , My cellphone is the rajesh khanna of all phones…apne jawaani ke aakhiri din gin raha bilack Nokia 6600, ab iska price bhi itna hi hai…Rs 6600..it is as black as kaala kauwa. (Or was it Kauwaa kaaaalaa!!! In the godrej hair dye ad).

3.What is on the walls of your bedroom ?

Nerolac Nerolac!! & A life size collage of pics of kimi kaatkar and Deepak tizori in compromising positions… (kuchh jyaada hi compromise karaa diya kya?)

Miyaa hum saif ali khan nahee ki deewar par guitar chipkaaye..

Deewar se yaad aaya... ek baar mera dost kisi ladki se link kar ke mujhe chidhaa raha tha…incidentally he is also a tagdaa minister of external ‘affairs’..

“kyu beta kal shaam ko flat screen laptop (slangcheck: a plain jane) leke kaha ghoom raha tha”

“Beta jinke ghar sheeshe ke ho unki deewaro par susu nahee kiyaa karte !! “

“Wo kyu” innocently he asks

“Abey behsharami ke putle, kaanch ki deewaro par susu karega to doosri side se sab dekh lenge, isiliye dhyaan se bacchoo tere kaale kaarnaamo ka pdf document maine bit-torrent se 2 raato me dwnld kiyaa tha”

4. What is your current desktop picture ?

Current desktop par mayawati ki photo hai. Uske aas paas kopche me bipasha aur katreena chopra baith ke ludo khel rahee hai.

Waise sachee bataau to windows ka default maidaan lagaa rakhaa hai. Kya pata kab browse karte karte jarurat pad jaaye… :P

5. Do you believe in gay marriage ?

Oiii maa!! Aise personal kweshchann naa pooch t-shirt ki sleeve daanto se dabaa li hai maine..!!

arey bhaai jab miyaa-beeve.. err miyaa - miyaa raazi to kya karega kaaji!! And baabuji and maaji.

6. What do you want more than anything right now ?

Post this piece…it has been a month since I posted anything substantial on my blog. Mera hit-counter jpeg image lag raha hai..kayee dino se ek jaisaa hi hai!!

7 . What time were you born ?

I was born on a cold December morning on the 13th ( doctor ne kaanpte haatho se evil bacche ko nikaala tha). Samay teen baj ke paintaalis minute. Ye to meri mummy ne bataaya… time dekhna to mere ko 5th class tak nahee aaya tha.

8. Are your parents still together ?

Arey bhaai mai brad pitt aur angelina jolie ki aulaad thode hi hoon bhaai… bharat desh ki ek middal class family ka waris ka product hoon.

My parents are always together in launching a verbal assault on your’s truly. Buhuhuhu!! (baankelaal aise hi rota tha!!)

Aage kya hua jaan ne ke liye padhiye agla post…jald hi aapke najdeeki cinemagharo me…

Update: “Chak de india” ke 4 tckts have just been delivered to my doorsteps. Khush ho jaao india.

Happy independence day deshwaasiyo, ek jhanda jarur khareedna each one of you. Aakhir retirement age aa gayee apne country ki!!





Ee hai meri keyboard ki pehli kamaai...JAM magazine ka cheque.



http://garambhejafry.blogspot.com/2006/09/gr8-indian-spicy-baraat.html
Aur ye raha wo article jo publish ho gaya!!!

Labels: